tum apni fikr ko be-shak udan mein rakhna zamin-bos imarat bhi dhyan mein rakhna nigah padne na pae yatim bachchon ki zara chhupa ke khilaune dukan mein rakhna hamein to ahl-e-siyasat ne ye bataya hai kisi ka tir kisi ki kaman mein rakhna hawaen tez bahut hain ye chahaton ke diye zara sambhaal ke apne makan mein rakhna jadid ahd ke maqruz hain mere bachche mere khuda unhen apni aman mein rakhna tumhaara rang-e-sukhan koi bhi rahe 'mahbub' ghazal ka zaiqa apni zaban mein rakhna