laga ke dil koi kuchh pal amir rahta hai phir ek umr wo gham mein asir rahta hai kyun hath dil se lagate ho bar bar apna kya dil mein ab bhi koi be-nazir rahta hai teri zaban pe qanaat ki baat thik nahin tere badan pe libas-e-harir rahta hai yaqin aa gaya in mehrban hawaon se usi gali mein mera dast-gir rahta hai tere firaq ka gham wo hai ki dilase ko ta-subh baam pe mah-e-munir rahta hai phir ahl-e-ishq ki takhliq hoti hai pahle junun ki aag mein barson khamir rahta hai