nadan-o-kam-nigah raha be-kamal main qirtas-e-zindagi pe bana ek sawal main dawat kinaya koi ishaara na iltifat daman ko thamne ki karun kya majal main masrufiyat ne kuchh bhi kahan sochne diya har shakhs ko gila ki hua hun muhaal main rahta hai ujlaton mein ki aaya chala gaya baithe kabhi to us se kahun dil ka haal main hum jism ki hudud se aage nikal gae meri wo kalpana hai to us ka khayal main had se siwa badha hai tamanna ka bar jab aap apne waste hi hua hun wabaal main tum hi diya karoge hawale mere 'nadim' sher-o-sukhan ki aisi banunga misal main