mil gai dard ki dawa dil ko rakhe allah mere qatil ko ishq ne dagh wo diya dil ko aa gai sharm mah-e-kaamil ko kat chuki thi rag-e-hayat meri rahm kab aaya mere qatil ko mana rahzan hai rahbar mera kya kahun main charagh-e-manzil ko kis ki kashti lagi kinare se zalzala aa raha hai sahil ko subh ko par tarashe jaenge koi kar de khabar anadil ko dagh-e-dil mera dekhne wale shama kahte hain mah-e-kaamil ko mana zalim hain bewafa hain phul shikwa zeba nahin anadil ko yunhi dekha nahin maal-e-ishq zahmaten di hain dast-e-qatil ko main chala gard-e-karwan ke sath kah do mera salam manzil ko mana aajiz hain jaan se parwane chahiye kya charagh-e-mahfil ko maut ne sham se sulaya mujhe nind shab bhar na aai qatil ko dub kar pa liya sukun-e-hayat pahonche sahil pe kho ke sahil ko un pe ek roz pad gai thi nazar umr bhar jhelna pada dil ko gham mein phulon ke barha 'ali' dekha rote hue anadil ko