laga pahchanne main raste jab

laga pahchanne main raste jab
nikala us ne mujh ko shahr se tab

hadaf kya tha kahan pahuncha hai insan
sharaf khilqat mein aala aur ye dhab

na rakkhi aas juz lutf-e-ilahi
ki kafi hai mujhe mera wo ek rab

kahen kuchh shaikh ji kyun kar kategi
bina angur ki beti ke ye shab

numayan kar gai haq ki haqiqat
shab-e-ashur jo aai thi ek shab

main aasi hun magar ghibat mein 'shaarib'
khuda ka shukr hai khulte nahin lab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close