manzar ki diwar ke pichhe ek manzar kali chadar se munh dhanpe ek manzar main jaise hi ek manzar takhliq karun aa kar fauran us ko kate ek manzar chehra padhna chahun to ojhal ho jae dur khada phir hath hilae ek manzar ek manzar chaqu se gude jism mera phir aa kar zakhmon ko chate ek manzar ek manzar mein sanp gale se aa lipte phir rag rag mein zahr utare ek manzar bich bhanwar surakhon wali ek kashti mujhe meri pahchan karae ek manzar kab tak aankhen nichi kar ke guzroge aate jate rah mein toke ek manzar dharti aur aakash pareshan donon hain ek sa aalam upar niche ek manzar ho sakta hai ek manzar ka ho jaun aa kar aankhon mein chubh jae ek manzar