ye shahr shahr ki aabaadiyan fana ki taraf

ye shahr shahr ki aabaadiyan fana ki taraf
ye jiti-jagti aankhon mein wahshat-e-sahra

mohabbaton ke basere nahin makanon mein
humakte bachchon pe aaseb-e-waqt ka saya

bala-e-roz-e-jaza tal gai saron se magar
dilon ki tah mein dhadakti hai haibat-e-farda

hawas wo kasa-e-sail ki har nafas khali
baham hai daulat-e-kaunain dil tahi-maya

ye mere ahd ki makhluq ji rahi hai magar
nafas ki aamad-o-shud par madar hai is ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close