lahra rahi hain khet mein gandum ki baaliyan aur pahre par bijoke hain le kar do-naliyan ru-e-sukhan hai us ka kharidar ki taraf qassab de raha hai jo billi ko galiyan khanjar utar dega jamure ke pet mein budhe jawan bachche bajaenge taliyan jute nikalti hain adab se tawaifen lekin phate jurabon pe hansti hain saliyan buta sa tan tha pahlu mein aur kundali mar ke sine pe sanp jaisi thin bahon ki daliyan utri tamam raat mere tan ki aarti mehndi lage wo hath the phulon ki daliyan wallah aqidat aaj bhi hai mera scene se hum ko bahut pasand hain bangal waliyan loundon ki thodiyon pe jo sabza uga 'shafaq' kis kaam ki rahi hain ye chehron ki laliyan