lahu hi kitna hai jo chashm-e-tar se niklega yahan bhi kaam na arz-e-hunar se niklega har ek shakhs hai be-samtiyon ki dhund mein gum batae kaun ki suraj kidhar se niklega karo jo kar sako bikhre hue wajud ko jama ki kuchh na kuchh to ghubar-e-safar se niklega main apne aap se mil kar hua bahut mayus khabar thi garm ki wo aaj ghar se niklega hain barf barf abhi mere ahd ki raaten ufuq jalenge to shola sahar se niklega ye kya khabar thi ki ai ranj-e-raegan-nafsi dhuan bhi sina-e-ahl-e-nazar se niklega meri zamin ne khala mein bhi khinch di diwar tu aasman sahi kis rahguzar se niklega tamam log isi hasrat mein dhup dhup jale kabhi to saya ghanere shajar se niklega samo na taron mein mujh ko ki hun wo sail-e-nawa jo zindagi ke lab-e-mo'tabar se niklega phira hun kasa liye lafz lafz ke pichhe tamam umr ye sauda na sar se niklega 'faza' mata-e-qalam ko sambhaal kar rakkho ki aaftab isi durj-e-guhar se niklega