wo gham de rahe hain khushi ho rahi hai haqiqat mein ab aashiqi ho rahi hai abhi mohtasib mai-kade mein na aaen thahar jaiye mai-kashi ho rahi hai mohabbat mein kitne hi mansur gum hain khudi bhi yahan be-khudi ho rahi hai na zauq-e-talab hai na ehsas-e-manzil ye jina hai ya khud-kushi ho rahi hai koi juraten dekhe ahl-e-hawas ki mohabbat se bhi dil lagi ho rahi hai ye mai-khane mein kis ka paimana chhalka bahut dur tak raushni ho rahi hai na puchho yaganon ki begangi ko ye sab dost mein dosti ho rahi hai ajab aalam-e-'kaif' hai bazm-e-jaanan nigahon se bhi bandagi ho rahi hai