najat ke liye roz-e-siyah mangti hai zamin ahl-e-zamin se panah mangti hai bhara na atlas-o-marmar se pet khilqat ka ye bad-nihad ab aab-o-giyah mangti hai riyazaton se farishta-sifat to ho na saki mohabbat aai hai tab-e-gunah mangti hai wo rang-e-kucha-o-bazar hai ki ab basti gharon se dur alag qatl-gah mangti hai ragon mein daudta phirta hai ijz sadiyon ka raiyat aaj bhi ek baadshah mangti hai