lahu mein dube sitam-rasida figar chehre kitab jaise khule hue be-shumar chehre rahin-e-dauran giran-baha suraten hamari hamare jismon ki zinaten mustaar chehre hazar chehra kitab aankhon ke ru-ba-ru hai magar sar-e-rah bhi jo mil jaen chaar chaar chehre koi mata-e-aziz az jaan chhini hai sab se jidhar bhi dekhun hain ru-ba-ru sogwar chehre usi se hai aashkar sara hunar hamara hamare chehre nahin hue aashkar chehre bhala kise aasman-e-gardish talashti hai kahan hain wo khush-numaiyan pur-bahaar chehre