har-chand be-nawa hai kore ghade ka pani diwan 'mir' ka hai kore ghade ka pani uplon ki aag ab tak hathon se jhankti hai aankhon mein jagta hai kore ghade ka pani jab mangte hain sare angur ke sharare apni yahi sada hai kore ghade ka pani kaghaz pe kaise thahren misre meri ghazal ke lafzon mein bah raha hai kore ghade ka pani khana-ba-dosh chhori takti hai chori chori us ka to aaina hai kore ghade ka pani chidiyon si chahchahaen panghat pe jab bhi sakhiyan chup-chap ro diya hai kore ghade ka pani us ke lahu mein shayad tasir ho wafa ki jis ne kabhi piya hai kore ghade ka pani izzat zamir mehnat danish hunar mohabbat lekin kabhi bika hai kore ghade ka pani dekhun jo chandni mein lagta hai mujh ko 'aslam' pighli hui dua hai kore ghade ka pani