lahu mein rang-e-suKHan us ka bhar ke dekhte hain

lahu mein rang-e-sukhan us ka bhar ke dekhte hain
charagh baam se jis ko utar ke dekhte hain

mulaemat hai ghazal ki si us ki baaton mein
ye baat hai to chalo baat karke dekhte hain

sahifa-e-lab-o-rukhsar-o-pairahan us ka
tilawaton mein hain patte shajar ke dekhte hain

bala ke name hain do sipyai aankhon mein
gurez-o-gardish-o-ghamze nazar ke dekhte hain

balaen lete hue husn-e-be-nihayat ki
teri taraf tere ushshaq dar ke dekhte hain

charaghte hain kisi nazm ke ghane abru
kisi ghazal ki judai mein mar ke dekhte hain

thahar gaya ho na aawaz-e-pa teri sun kar
so dil pe rasha-zada hath dhar ke dekhte hain

karakhtagi hai na khud-raftagi na fahmaish
mizaj badle hue hum safar ke dekhte hain

ruke hue hain bahut log dekhne ke liye
so hum bhi shoabde us khwab-gar ke dekhte hain

bhari hai ranj ki barish se umr ki karez
hum ek kone mein baithe hain ghir ke dekhte hain

ab uth bhi jae koi khwab-gah-e-girya se
wo pau phati wo manare sahar ke dekhte hain

ye simyai badan khwab-e-nim-shab to nahin
so khal-o-khad ki tamazat ko dar ke dekhte hain

ai tere sabza-e-rukhsar ki dil-awezi
nawah-e-chashm se aansu guzar ke dekhte hain

kati hai umr ghazal-zad-gan ki sohbat mein
unhi ke kuche mein aakhir bikhar ke dekhte hain

mashaqqati hain tere kakh-o-ku-e-hijr ke hum
sharab-e-hijr pyale mein bhar ke dekhte hain

jhukae kandhon ko ushshaq pa-ba-gil ki tarah
nidhaal pyas se hum log thar ke dekhte hain

bala ka qaht hai sailab hai tattul hai
koi watan hai manazir ghadar ke dekhte hain

ho izn sang-e-lahad ke tawaf ka 'amir'
tuyur udte hue kashghar ke dekhte hain

chali hai tohmat-o-takzib ki hawa 'amir'
so shahr-e-khak-o-khabar mein thahar ke dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close