main agar fikr ke shah-par se alag ho jaun apne andar ke sukhnawar se alag ho jaun aaina gard se baatil ki nikal aaega haq ki taid mein lashkar se alag ho jaun aasman bhi nahin roega lahu ke aansu main agar sham ke manzar se alag ho jaun tapte sahra ki zamin ko bhi zarurat hai meri lekin ab kaise samundar se alag ho jaun zalzale itne meri zat mein poshida hain ye bhi mumkin hai ki mehwar se alag ho jaun bant lena kabhi taqsim na karna mujh ko ye na hoga ki barabar se alag ho jaun