ye nahin hai ki tujhe main ne pukara kam hai mere nalon ko hawaon ka sahaara kam hai is qadar hijr mein ki najm-shumari hum ne jaan lete hain kahan koi sitara kam hai dosti mein to koi shak nahin us ki par wo dost dushman ka ziyaada hai hamara kam hai saf izhaar ho aur wo bhi kam-az-kam do bar hum wo aaqil hain jinhen ek ishaara kam hai ek rukhsar pe dekha hai wo til hum ne bhi ho samarqand muqabil ki bukhara kam hai itni jaldi na bana rae mere bare mein hum ne hamrah abhi waqt guzara kam hai bagh ek hum ko mila tha magar us ko afsos hum ne ji bhar ke bigada hai sanwara kam hai aaj tak apni samajh mein nahin aaya 'basir' kaun sa kaam hai wo jis mein khasara kam hai