mere ghubar-e-safar ka maal raushan hai shafaq shafaq abhi naqsh-e-zawal raushan hai sada-e-gumbad-e-tabir sun raha hun main faza-e-khwab mein kirnon ka jal raushan hai wo ek fikriya lamha usi tarah hai abhi tere jawab se mera sawal raushan hai parind kyun na udain hansi andheron ki mere shajar ki abhi dal dal raushan hai surur teri rifaqat ka kam nahin hota tasawwuraat mein rang-e-visal raushan hai na koi baat hai kahne ki aur na sunne ki tumhaara mujh pe mera tum pe haal raushan hai sawal rah badalne ka hai to tum badlo meri dalil hai wazeh misal raushan hai jise main waqt ke sahra mein phenk aaya hun usi chatan pe sadiyon ka haal raushan hai diye jalata hua badh raha hai dast-e-hawa faza muhib hai lekin khayal raushan hai shikari apni jagah mutmain hain chup sadhe parinde dekh rahe hain ki jal raushan hai kisi andhere ko khatir mein tum nahin lana mera charagh ba-hadd-e-kamal raushan hai ye ehtiyat-e-safar ka maqam hai 'nusrat' yahan se wahshat-e-pa-e-ghazal raushan hai