nazron ka mohabbat bhara paigham bahut hai majbur-e-wafa ke liye inam bahut hai kuchh baada-o-saghar ki zarurat nahin mujh ko aankhon se chhalakti mai-e-gulfam bahut hai kya haal ho kya jaane shab-e-gham ki sahar ka betabi-e-dil aaj sar-e-sham bahut hai tauhin-e-mohabbat hain mohabbat mein ye shikwe lagta hai abhi husn-e-talab-kham bahut hai be-wajh mujhe bewafa kahte to ho lekin tum par bhi isi qism ka ilzam bahut hai nadan rah-e-ishq ko aasan na samjhen is rah mein kathinai ba-har-gam bahut hai is shauq adaon ko koi kuchh nahin kahta charcha meri ulfat ka sar-e-am bahut hai kuchh aa hi gaya dost ka dushman ka saliqa ehsan tera gardish-e-ayyam bahut hai afkar-e-zamana kabhi afkar-e-mohabbat hai zindagi thodi si magar kaam bahut hai ai 'mauj' sukun-bakhsh hain amwaj-e-mohabbat aaghosh mein tufan ke bhi aaram bahut hai