laja laja ke sitaron se mang bharti hai urus-e-sham ye kis ke liye sanwarti hai wo apni shokhi-e-raftar-e-naz mein gum hai use khabar hi kahan kis pe kya guzarti hai jawab us ke sawalon ka de koi kab tak ye zindagi to musalsal sawal karti hai us aarzu ne hamein bhi kiya asir apna wo aarzu jo sada dil mein ghut ke marti hai ab aa gae ho to thahro kharaba-e-dil mein ye wo jagah hai jahan zindagi sanwarti hai ye chhatne wale hain baadal jo kale kale hain isi faza mein wo raushan dhanak nikharti hai koi padaw nahin is safar mein ai 'makhmur' jo chal pade to hawa phir kahan thaharti hai