sarhad-e-jism se bahar kahin ghar likkha tha ruh par apni khalaon ka safar likkha tha hum bhatakte rahe sadiyon jise padhne ke liye apne andar wo kahin harf-e-hunar likkha tha aaj un aankhon mein dekha to mila dasht-e-khala hum ne jin aankhon mein ek khwab-nagar likkha tha apne ghar mein isi ehsas ne jine na diya apne hathon pe kisi aur ka ghar likkha tha zindagi ek sulagta hua sahra tha jahan sab ki aankhon mein sarabon ka bhanwar likkha tha kaun tha mujh mein ki jis ne mujhe padhne na diya mere chehre pe mera nam agar likkha tha apni hi zat ke haale mein rahe hum 'azad' an-ginat daeron ka yani safar likkha tha