lakh dil-mast ho masti ka ayan raaz na ho ye wo shisha hai ki tute bhi to aawaz na ho khauf hai mausam-e-gul mein ki saba ka jhonka tair-e-hosh ke haq mein par-e-parwaz na ho dil bahut bulbul-e-shaida ka hai nazuk gulchin phul gulzar ke yun tod ki aawaz na ho kya qayamat hai wo dil tod rahe hain mera is guman par ki chhupa is mein koi raaz na ho aaina hath mein hai husn ka nazzara hai un se kah do meri haalat nazar-andaz na ho ho ke wo mast-e-mai-e-naz gale lipte hain hosh kambakht kahin tafraqa-pardaz na ho us giraftar ki puchho na tadap jis ke liye dar qafas ka ho khula taqat-e-parwaz na ho ahl-e-dil ko jo lutati hai sada naghme ki parda-e-saz mein pinhan teri aawaz na ho tham lene do kaleja mujhe hathon se 'jalil' qissa-e-dard-e-jigar ka abhi aaghaz na ho