ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani sainkadon dub gae phir bhi hai itna pani aankh se bah nahin sakta hai bharam ka pani phut bhi jaega chhaala to na dega pani chah mein paun kahan aas ka mitha pani pyas bhadki hui hai aur nahin milta pani dil se lauka jo utha aankh se tapka pani aag se aaj nikalte hue dekha pani kis ne bhige hue baalon se ye jhatka pani jhum kar aai ghata tut ke barsa pani phailti dhup ka hai rup ladakpan ka uthan dopahar dhalte hi utrega ye chadhta pani tiktiki bandhe wo takte hain main is ghat mein hun kahin khane lage chakkar na ye thahra pani koi matwali ghata thi ki jawani ki umang ji baha le gaya barsat ka pahla pani hath jal jaega chhaala na kaleje ka chhuo aag mutthi mein dabi hai na samajhna pani ras hi ras jin mein hai phir sail zara si bhi nahin mangta hai kahin un aankhon ka mara pani na sata us ko jo chup rah ke bhare thandi sans ye hawa karti hai patthar ka kaleja pani ye pasina wahi aansu hain jo pi jate the hum 'arzu' lo wo khula bhed wo tuta pani