sham banhon mein liye raat ki rani aai ai mohabbat tujhe dene ko salami aai tishnagi itni ki dariya hai meri aankhon mein na-shanasa tere hone ki gawahi aai jis se mansub hua mere khayalon ka safar dhundne us ko mere sath hawa bhi aai mujh mein maujud hai wo aur nahin hai zahir us ki khwahish dar-o-diwar banati aai zakhm aisa tha tapakta tha lahu aankhon se us ki khwahish dar-o-diwar banati aai zakhm aisa tha tapakta tha lahu aankhon se dil bayan kar na saka aisi tabahi aai pursish-e-haal kare kaun kise hai fursat kab mere sahn mein na-dida khudai aai