lakh diya khushiyon ne pahra dukhon ka sailab na thahra us ki tah ko kaise paun jitna utrun utna gahra dhund raha hai darpan ab bhi tera chehra mera chehra bin pani ka baadal dekho sukhi dharti par ja thahra main jab tujh ko hath dikhaun aanchal apna tu bhi lahra 'soz' kise pahchanen aakhir jis ko dekho wo be-chehra