main ek akela hun lekin zalim ka zamana sathi hai wo zulm kare main zulm sahun ye rasm abhi tak baqi hai jab khun-e-jigar jam jata hai daman pe andheron ke ja kar tab raat ke parde jalte hain tab ja ke sahar ho pati hai sawan ho ki patjhad ho yaro kuchh farq nahin hai apne liye har rut jo badal kar aati hai wo gham ke tahaif lati hai duniya mein hamein aksar ya-rab apni ye hayat-e-fani hi dozakh ke bhayanak manzar bhi la la ke yahan dikhlati hai wo khilte rahen kaliyon ki tarah wo hanste rahen phulon ki tarah ai 'soz' hamein jine ke liye ye zakhm-e-jigar hi kafi hai