lakh harbe sahi har waza ke shaitan ke pas dhaal iman ki maujud ho insan ke pas mulk samjho use pamal baja hai ek din ab to bas ek yahi daulat hai musalman ke pas lagte hi tir tumhaara gai yun jaan nikal baith kar jati ghadi do ghadi mehman ke pas aadamiyat hi to buniyaad hai har khubi ki ho na ye bhi to dhara kya hai phir insan ke pas sohbat yar hai ai dil tujhe ghar baithe nasib phir tera kaam hai kya hajib-e-darban ke pas khwahishen nafs ki karte to ho puri lekin is se behtar nahin aala koi shaitan ke pas hum ne dil bhar ke kuchh is tarah nikale arman ki phatakta nahin dil ja ke ab arman ke pas mat samajhna inhen kam-maya ghani hain ye log kanz-e-makhfi hai har ek sahib-e-iman ke pas jubba-sai ki bhi kuchh hogi tumhin ko ummid galiyan khate ho ja ja ke darban ke pas