tum ko dekha hai abhi tak ye guman hota hai naqsh jo dil mein hai aankhon se nihan hota hai shauq ka aalam-e-eajaz ayan hota hai khinch ke aata hai yahan husn jahan hota hai qissa-e-dard khamoshi se ayan hota hai taur-e-izhaar nazar tarz-e-bayan hota hai raat khamosh hai aise mein sitaro sun lo dil-e-muztar mera mail-ba-fughan hota hai meri nakaam mohabbat ne bada kaam kiya muddaa aalam-e-hasrat mein jawan hota hai khirman-e-zist mein shoale na bhadak uthe hon daman-e-dil ke qarib aaj dhuan hota hai zikr khud chhed ke roya kiya pahron 'akhtar' nam aate hi tera ashk rawan hota hai