meri nazron mein ata ki hai teri surat mujhe mil gai hai do-jahan ke husn ki murat mujhe tere rukh ki raushni ne mujh pe wo chhidka hai nur wasl hi ab wasl lagti hai teri furqat mujhe koi aisi kaifiyat ko nam kuchh deta phire aalam-e-ulfat ne bakhshi hai nai azmat mujhe koi kahta hai mohabbat se hai tauhin-e-hayat us ke dam se hai inayat kis qadar izzat mujhe muskura kar us se aksar dur ho jata hun main ta-qayamat dhundhti rah jaegi shohrat mujhe