lakh parde se rukh-e-anwar ayan ho jaega parda khul jaega har parda katan ho jaega jauhar-e-tegh-e-isalat sab ayan ho jaega imtihan ke waqt apna imtihan ho jaega tu agar ai mah aa nikla kisi din baad-e-marg parda-e-khak-e-mazar apna katan ho jaega pech zulfon ke jo khul jaenge ru-e-yar par sumbul-e-tar aatish-e-gul ka dhuan ho jaega tu wo gul-ru hai ki tujh ko dekh kar niklegi jaan bulbul-e-ruh o rawan be-ashiyan ho jaega ru-e-rangin ki hikayat nazm agar karne lagen 'barq' sab diwan hamara bostan ho jaega