nakaami-e-dil kulsum kabhi taqdir ko apni roi nahin

nakaami-e-dil 'kulsum' kabhi taqdir ko apni roi nahin
qurban main apni himmat ke sab soe magar ye soi nahin

ai subh-e-qayamat kya kahna is wada-e-did ke main qurban
wo parde se ab nikle hain jab dekhne wala koi nahin

giryan hai abhi tak chashm-e-falak bulbul bhi barabar roti hai
barbaadi-e-gulshan ke gham mein shabnam hi akeli roi nahin

tu apne ko khud pyara hai yun pyar tujhe sansar se hai
warna kisi ka chahne wala duniya bhar mein koi nahin

dar hai ye mujhe ki khun-e-nahaq rang na lae mahshar mein
khun mein dubi aastin apni us ne abhi tak dhoi nahin

ai naqa-e-laila parda-nashin phir najd ke zarre raqs mein hain
manzil-e-husn to samne hai kya ishq ki manzil koi nahin

jo hona tha wo ho hi chuka ab kahne se kya hasil hai
ye waqt-e-dua hai ai naseh ye waqt-e-nasihat-goi nahin

khun-e-anadil daud raha hai lala-o-gul ki rag rag mein
phir bhi sare bagh mein ham-ahang anadil koi nahin

wo husn ka mansha kya samjhe wo rasm-e-mohabbat kya jaane
daulat-e-sabr-o-sukun-e-dil ishq mein jis ne khoi nahin

manjdhaar se kashti par hui sahil pe jab aai dub gai
taqdir to sab ki sathi thi taqdir ka sathi koi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close