mahfil mein ehtiyat se lab apne kholiye utre jo dil mein baat wahi baat boliye hum dil-jalon se is ka sabab kuchh na puchhiye ji chaha muskura diye ji chaha ro liye dar tha ki soz-e-gham se na shoale bhadak uthen roe hain is qadar ki gareban bhigo liye auron se puchhiye na pata la-makan ka jab dhundhna hi thahra to dil mein tatoliye isyan ka dagh meri jabin se na mit saka daman pe jo sharab ke dhabbe the dho liye