tafrih-e-chashm-o-dil ko gulistan hai shaeri

tafrih-e-chashm-o-dil ko gulistan hai shaeri
ai ahl-e-zauq hasil-e-arman hai shaeri

masti-e-kaif-o-naghma barasne lage agar
raqs-e-bahaar jalwa-e-jaanan hai shaeri

hai la-shuur ke liye talbis-e-ahraman
iman ho to rahmat-e-yazdan hai shaeri

ahl-e-nazar ne bhar liye daman umid ke
gulha-e-rang rang-e-bahaaran hai shaeri

ho sheriyat nasib to rashk-e-chaman bane
wahshat hui yunhi to bayaban hai shaeri

shahid hain mere qaul pe tarikh ke waraq
parwarda-e-tamaddun-e-insan hai shaeri

dhul jati hai jo kausar-o-tasnim se zaban
jannat-nisar-o-hur badaman hai shaeri

ye falsafa khulasa-e-har-qil-o-qal hai
mushkil agar nahin hai to aasan hai shaeri

'saqib' bayaz-e-sher ki tartib khas ho
auraq-e-gul ki tarah pareshan hai shaeri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close