masafaton mein dhup aur chhanw ka sawal kya safar hi shart hai to phir uruj kya zawal kya firaq-saaton ke zakhm ruh tak pahunch chuke mayassar aaen bhi to ab masai-e-visal kya hunar ko dhup jangalon ki muskurahaton mein hai gulab bastiyon mein hanste rahne ka kamal kya umid hi to dil-shajar ki aakhiri asas thi shagufa ye bhi ho gaya khizan se paemal kya tamam-shahr hi hawa ke dosh par sawar hai dikhae koi zakhm kya sunae koi haal kya