na tum mile the to duniya charagh-pa bhi na thi ye mehrban to nahin thi magar khafa bhi na thi ajab gharibi ke aalam mein mar gaya ek shakhs ki sar pe taj tha daman mein ek dua bhi na thi na itna bikhri thi pahle kitab-e-hasti bhi aur itni tez mere shahr ki hawa bhi na thi khushi to ye hai ki pas-e-adab rakha hum ne malal ye hai ki apni koi khata bhi na thi meri hayat kahan tak teri safai dun ki tu kharab nahin thi to parsa bhi na thi bhala kiya ki hamein zahr de diya tum ne alawa is ke hamari koi dawa bhi na thi badal raha hai musalsal mizaj duniya ka ye bewafa thi magar aisi be-haya bhi na thi