naghme khwabida hain nalon ka asar tak chup hai aap kya chup hain faza hadd-e-nazar tak chup hai sham tak mai-kada gulzar-e-sahar tak chup hai zindagi waqt ki tajdid-e-safar tak chup hai sath the aap to manzil bhi sada deti thi ab ye aalam hai ki har rahguzar tak chup hai kis ko aawaz den is bolte sannate mein jis taraf dekhiye diwar se dar tak chup hai aankh darkar hai jazbon ko samajhne ke liye chehra kya kah sake jab dida-e-tar tak chup hai be-shuuron ne utha rakkhi hai duniya sar par hosh-mandon ki zaban kya hai nazar tak chup hai kis se puchhun ki nasheman mera kis ne phunka bu-e-gul baad-e-saba shakh-e-shajar tak chup hai dil hai khamosh to khamosh hai duniya sari ek aalam hai idhar se jo udhar tak chup hai 'shauq' zindan-e-jahan manzil-e-fariyaad nahin is kharabe mein to sanson ka safar tak chup hai