zat ke kamre mein baitha hun main khidki khol kar khud ko main bahla raha hun apne munh se bol kar sirf honton ka tabassum zist ka gulzar hai ab na duniya ko dikha ashkon ke moti rol kar lafz ki nazuk sada par zindagi ka bojh hai baat bhi duniya kharide is jahan mein tol kar ek jagah thahre hue hain sab purane waste apni sochon ke mutabiq zist ka mahaul kar rasta tarik jine ki ziya barik hai rah na jaen chalte chalte tere panw dol kar