lamha wo teri yaad ka aise guzar gaya jaise ki phul shakh se tuta bikhar gaya kal chhanw mil sakegi sabhi ko ye soch kar jis ne lagae ped wo budha kidhar gaya jo pattharon ke badle mein deta tha phal mujhe daur-e-khizan bata tu kahan wo shajar gaya qaem hai dil mein aaj bhi udne ka hausla sayyaad-e-waqt lakh mere par katar gaya dhadkan sunai deti thi har ek lafz mein kya jaane shairi se kahan wo hunar gaya