lams ko chhod ke khushbu pe qanaat nahin karne wala aisi-waisi to main ab tum se mohabbat nahin karne wala mujh se behtar koi duniya mein kitabat nahin karne wala par tere hijr ki main jald ishaat nahin karne wala apne hi jism ko kal us ne meri aankhon se pura dekha is se badh kar koi manzar kabhi hairat nahin karne wala mazhab-e-ishq se mansub ye baaten to kharij ki hain sham-e-hijran main kisi taur main shirkat nahin karne wala aisi bhagdad mein koi paon tale aae to shikwa na kare gir gaya main to koi mujh se riayat nahin karne wala lau larazne ka koi aur hi matlab na nikal aae kahin puchhne par bhi charagh aur wazahat nahin karne wala mujhe chalte hue raste ke shajar dekhte jate hain 'raza' par mere sath ukhad kar koi hijrat nahin karne wala