raushni se kis tarah parda karenge aakhir-e-shab sochte hain kya karenge wo sunahri dhup ab chhat par nahin hai hum bhi aaine ko ab andha karenge jism ke andar jo suraj tap raha hai khun ban jae to phir thanda karenge ghar se wo nikle to bus-stand tak hi us ka saya ban ke hum pichha karenge aankh pathra jaegi ye jaante hain phir bhi is manzar mein hum khoya karenge