sard aahon ne mere zakhmon ko aabaad kiya dil ki choton ne jo rah rah ke tujhe yaad kiya mehrbani mere sayyaad ki dekhe koi jab khizan aai mujhe qaid se aazad kiya mahfil-e-naz se laya jo yahan tak un ko tu ne ye kaam ajab ai dil-e-nashad kiya mai-kashon ne use saqi ka ishaara samjha jhuk ke shishe ne jo saghar se kuchh irshad kiya dil-e-betab ko mushkil se sambhaala tha magar zabt-e-gham ne mujhe aamada-e-fariyaad kiya kaam jab kuchh na bana ishq ki nakaami se dard ne aap ko sharminda-e-be-dad kiya khud mujhe bhi nahin barbaadi ka ehsas 'shajia' is saliqe se kisi ne mujhe barbaad kiya