laraz raha tha falak arz-e-haal aisa tha shikastagi mein zamin ka sawal aisa tha kamal aisa ki hairat mein charkh-e-nili-fam shajar utha na saka sar zawal aisa tha kisi wajud ki koi ramaq na ho jaise daraaz silsila-e-mah-o-sal aisa tha khila hua tha badan par jarahaton ka chaman ki zakhm phail gaya indimal aisa tha kabhi ye takht-e-sulaiman kabhi saba raftar nasha chadha to samand-e-khayal aisa tha ghire hue the jo baadal baras ke tham bhi gae bichha hua tha jo taron ka jal aisa tha kabhi wo shola-e-gul tha kabhi gul-e-shola mizaj-e-husn mein kuchh e'tidal aisa tha wo aankhen qahr mein bhi kar gain mujhe shadab farogh-e-baada mein rang-e-jamal aisa tha kisi se hath milane mein dil nahin milta talab mein shaiba-e-ehtimal aisa tha