sabr kar sabr dil-e-zar ye wahshat kya hai dasht-e-pur-khar mein jaane ki zarurat kya hai ek tahayyur mein pada hun nahin milta hai pata chashm-e-be-khwab mein ye surat-e-hasrat kya hai dil mein baithe hain to phir munh ka chhupana kaisa ai but-e-hosh-ruba aap ki aadat kya hai loriyan degi qaza chain se so jaenge tere bimar ko marne ki zarurat kya hai nek-o-bad jab teri marzi pe hue hain mauquf bakht kahte hain kise aur ye qismat kya hai dam-e-akhir hai mera tum sar-e-baalin aao ek saat ke thaharne mein qabahat kya hai roz-e-ishrat mein samajhti hun 'jamila' is ko log kis waste darte hain qayamat kya hai