yar ko bebaki mein apna sa hum ne kar liya yani us ne thokaron mein sar hamara dhar liya ishq-e-ruswa ne di afzuni hijab-e-husn ko jo utha parda yahan se us ne wan munh par liya is ko mai-khwari nahin kahte hain khun-khwari hai ye mere dil se li gazak aur ghair se saghar liya nam ko dil mein jagah chhodi na dagh-e-ishq ne ek mehman aisa aaya jis ne sara ghar liya zauq dekho mujh se said-e-na-tawan ke waste tegh li ek hath mein ek hath mein khanjar liya main sitara-sokhta wo hun ki jis ka zaicha us ghadi khincha gaya jab dagh ka akhtar liya chashm-o-dil rakkho ho yaro jaw tuk dekho use mujh se kya kahte ho us ne dil tera kyun-kar liya ai 'raza' rah mein khizr ki mat rah dekh ghar ke jaane mein kisi ne bhi bhala rahbar liya