larazta hai mera dil zahmat-e-mehr-e-darakhshan par main hun wo qatra-e-shabnam ki ho khar-e-bayaban par na chhodi hazrat-e-yusuf ne yan bhi khana-arai safedi dida-e-yaqub ki phirti hai zindan par fana talim-e-dars-e-be-khudi hun us zamane se ki majnun lam alif likhta tha diwar-e-dabistan par faraghat kis qadar rahti mujhe tashwish-e-marham se baham gar sulh karte para-ha-e-dil namak-dan par nahin iqlim-e-ulfat mein koi tumar-e-naz aisa ki pusht-e-chashm se jis ki na howe mohr unwan par mujhe ab dekh kar abr-e-shafaq-aluda yaad aaya ki furqat mein teri aatish barasti thi gulistan par ba-juz parwaz-e-shauq-e-naz kya baqi raha hoga qayamat ek hawa-e-tund hai khak-e-shahidan par na lad naseh se 'ghaalib' kya hua gar us ne shiddat ki hamara bhi to aakhir zor chalta hai gareban par dil-e-khunin-jigar be-sabr-o-faiz-e-ishq-e-mustaghni ilahi yak qayamat khawar aa tute badakhshan par 'asad' ai be-tahammul arbada be-ja hai naseh se ki aakhir be-kason ka zor chalta hai gareban par