lashkar-e-ishq aa pada hai mulk-e-dil par tut tut kan mein aati nahin hai juz sada-e-lut-lut mil nahin sakta khuda hai is khudi ke sath mein ai dil is qaid-e-khudi se jald-tar ab chhut chhut barq san hansna tera yaad aawe hai jis dam mujhe abr ki manind rota hun main yaksar phut phut hai sada-e-khanda-e-gul khar us ke kan mein is liye kahta hun main nale ko apne khot khot tere kufr-e-zulf ki dori mein aksar ahl-e-din qaid-e-din-dari se bhage hain nikal kar chhut chhut koi kafir hi nahin juz nafs khud is dahr mein pas isi kafir ke sar ko raat din tu kut kut aa gaya bahr-e-haqiqat ka hi gauhar hath mein hai mila jab se shah-e-khadim se 'asim' tut tut