shahar-e-ghaflat ke makin waise to kab jagte hain ek andesha-e-shab-khun hai ki sab jagte hain shayad ab khatm hua chahta hai ahd-e-sukut harf-e-eajaz ki tasir se lab jagte hain rah-gum-karda-e-manzil hain ki manzil ka suragh kuchh sitare jo sar-e-qarya-e-shab jagte hain aks in aaankhon se wo mahw hue jo ab tak khwab ki misl pas-e-chashm-e-talab jagte hain