shabnam bhigi ghas pe chalna kitna achchha lagta hai

shabnam bhigi ghas pe chalna kitna achchha lagta hai
panw tale jo moti bikhren jhilmil rasta lagta hai

jade ki is dhup ne dekho kaisa jadu pher diya
behad sabz darakhton ka bhi rang sunahra lagta hai

bheden ujli jhag ke jaisi sabza ek samundar sa
dur khada wo parbat nila khwab mein khoya lagta hai

jis ne sab ki mail kasafat dhoi apne hathon se
dariya kitna ujla hai wo shishe jaisa lagta hai

andar bahar ek khamoshi ek jalan bechaini se
kis ko hum batlaen aakhir ye sab kaisa lagta hai

sham lahakte jazbon wali 'fikri' kab ki rakh hui
chand-ru pahli kirnon wala dard ka mara lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close