masarraton ka saman barqarar rakhna hai tere badan ka guman barqarar rakhna hai lahu ki surkhi ko aankhon mein qaid kar lena jale jo dil to dhuan barqarar khana hai dil-o-dimagh mein an-ban hai shahr-e-jism mein phir mizaj-e-amn-o-aman barqarar rakhna hai ai husn tujh ko sahar tak meri in aankhon par tilism-e-khwab-e-butan barqarar rakhna hai hai be-qarar mera dil to kya khabar us ko qarar us ko kahan barqarar rakhna hai zamana wajh hai hum mil nahin sake to hamein bas ek rabt-e-nihan barqarar rakhna hai badan pe zoaf agar ho to sine mein mujh ko marun to qalb-e-jawan barqarar rakhna hai 'asir' sher tumhaare garan zamane par tumhein ye tarz-e-bayan barqarar rakhna hai