latif pardon se the numayan makin ke jalwe makan se pahle

latif pardon se the numayan makin ke jalwe makan se pahle
mohabbat aaina ho chuki thi wajud-e-bazm-e-jahan se pahle

na wo mere dil se ba-khabar the na un ko ehsas-e-arzu tha
magar nizam-e-wafa tha qaem kushud-e-raaz-e-nihan se pahle

har ek unwan-e-dard-e-furqat hai ibtida sharh-e-mudda ki
koi batae ki ye fasana sunaen un ko kahan se pahle

masarraten raazdar-e-gham thin masarraton mein alam tha pinhan
jabhi to sehn-e-chaman mein shayad bahaar aai khizan se pahle

samajh raha tha ki na-umidi na parda-dar-e-umid hogi
nazar utha kar jo main ne dekha ghubar tha karwan se pahle

utha jo mina ba-dast-e-saqi rahi na kuchh tab-e-zabt baqi
tamam mai-kash pukar utthe yahan se pahle yahan se pahle

qasam fareb-e-nigah-o-dil ki hamein to us justuju ne khoya
wahin thi dar-asl apni manzil qadam uthe the jahan se pahle

azal se shayad likhe hue the 'shakil' qismat mein jaur-e-paiham
khuli jo aankhen is anjuman mein nazar mili aasman se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close