laut aaega kisi sham yahi lagta hai jagmagaenge dar-o-baam yahi lagta hai zist ki rah mein tanha jo bhatakti hun main ye wafaon ka hai inam yahi lagta hai ek muddat se musalsal hun safar mein lekin manzil shauq hai do-gam yahi lagta hai ek kali bar sar-e-paikar khizaon se hai ye nahin waqif-e-anjam yahi lagta hai mere aane ki khabar sun ke wo dauda aata us ko pahuncha nahin paigham yahi lagta hai mujh ko bhi kar dega ruswa wo zamane bhar mein khud bhi ho jaega badnam yahi lagta hai bhulna us ko hai aasan 'shabana' lekin mujh se hoga nahin ye kaam yahi lagta hai